Lyrics: Silsila Ye Chaahat Ka





Mausam ney lee angdaayi aayi aayi
Lehraake barkha phir chaayi chaayi
Jhoka hawa kaa aayega aur yeh diya buj jaayega
Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya...(2)
Oh piya yeh diya naa bujha hai naa bujhega
Mere chaahat ka diya mere piya ab aaja re mere piya
Oh mere piya ab aaja re mere piya...(2)
Is diye sang jal raha mera rom rom rom aur jiya
Ab aaja re mere piya oh mere piya ab aaja re mere piya

Faasla tha doori thi faasla tha doori thi 
Tha judaai kaa aalam intezaar mein nazrein thi 
Aur tum wahan the tum wahan the tum wahan the
Jhilmilaatey jagmagaatey khushiyon mein jhoom kar
Aur yahan jal rahe the hum...(2 

Phir se baadal garja hai garaj garaj ke barsa hai
Ghoom ke toofan aaya hai par tujhe bujha nahin paaya hai
Oh piya yeh diya chaahe jitha sathey tujhe yeh saawan
Yeh hawa aur yeh bijliyaan
Oh mere piya ab aaja re mere piya..(2)

Dehko yeh pagli deewani duniya se hai yeh anjaani
Jhoka hawa ka aayega aur iska piya sang laayega
Oh piya ab aaja re mere piya
Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya
Oh piya yeh diya
Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya
Oh piya yeh diya
Aye piya piya piya

Comments

Popular posts from this blog

Understanding PTSD

Throwback: Waltzing to the Tune of Rhetoric

Lyrics: Chanchala Druthapada Thalam